mashroof hoon kahan fursat hai in dino
dil mein mere mohabbat hai in dino
tera charcha teri tamanna, teri yaad karti hoon
waqt ki bahut keemat hai in dino
mere mann ke baagh mein phoolon se khilo
mausam ki bhi izazat hai in dino
aaye ho to ab jane ka naam na lo
saanson ko tumhari zarurat hai in dino
Category: Love Shayari
Posted On: 10-Jan-2012