Shayari
Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ? By Ghalib Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai ? Aakhir is dard kee dawa kya hai Ham hain mushtaaq aur woh bezaar Ya ilaahee ! Yeh maajra kya hai ? [ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ] Main bhee munh mein zabaan rakhta hoon Kaash ! Poocho ki “muddaa kya hai” ? Jab ki tujh bin naheen koee maujood Fir ye hangaama, ‘ei khuda ! Kya hai Ye paree chehara log kaise hain ? Ghamza-o-ishwa-o-’adaa kya hai ? [ paree chehara = angel faced, ghamza = amorous glance, Ishwa = coquetry ] Shikan-e-zulf-e-ambaree kyon hai ? Nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ? [ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ] Sabja-o-gul kahaan se aaye hain ? Abr kya cheez hai, hawa kya hai ? [ abr = clouds ]
Category: Love Shayari        Posted On: 16-Jan-2012